mai-kada hai KHumar hai thoDa
mai-kada hai ḳhumār hai thoḌā
ziist kā kārobār hai thoḌā
marg kī ḳhush-gumāniyāñ thoḌī
zindagānī kā bhaar hai thoḌā
mere āzār DhūñD laa.e koī
ab bhī mujh ko qarār hai thoḌā
vo bhī tere sipurd kartā huuñ
ḳhud pe jo iḳhtiyār hai thoḌā
mausam-e-gul kā ek mujh pe junūñ
us pe rang-e-bahār hai thoḌā
maut le kar chalī hai ab mujh ko
jo tirā hai dayār hai thoḌā
Tiis dil kī 'ḳhayāl' hai thoḌī
dard bhī pā.edār hai thoḌā
mai-kada hai KHumar hai thoDa
zist ka karobar hai thoDa
marg ki KHush-gumaniyan thoDi
zindagani ka bhaar hai thoDa
mere aazar DhunD lae koi
ab bhi mujh ko qarar hai thoDa
wo bhi tere sipurd karta hun
KHud pe jo iKHtiyar hai thoDa
mausam-e-gul ka ek mujh pe junun
us pe rang-e-bahaar hai thoDa
maut le kar chali hai ab mujh ko
jo tera hai dayar hai thoDa
Tis dil ki 'KHayal' hai thoDi
dard bhi paedar hai thoDa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.