mai-kade jaane ki himmat bhi nahin kar sakte
mai-kade jaane kī himmat bhī nahīñ kar sakte
ham kabhī aisī himāqat bhī nahīñ kar sakte
apnī ġhalatī ko jo taslīm nahīñ karte ham
aise logoñ ko nasīhat bhī nahīñ kar sakte
ham jahāñ jā ke chale aa.eñ salāmat vāpas
tum kabhī itnī jasārat bhī nahīñ kar sakte
zindagī ne hameñ us moḌ pe lā ke chhoḌā
tum se ham khul ke mohabbat bhī nahīñ kar sakte
us ne jaate hue sauñpī hai hameñ vo daulat
us meñ ham koī ḳhayānat bhī nahīñ kar sakte
itnā uljhā diyā hālāt ne logoñ ko yahāñ
ek duuje kī hifāzat bhī nahīñ kar sakte
vaqt ne kar diyā 'ahmad' hameñ masrūf bahut
baiTh kar saath ziyāfat bhī nahīñ kar sakte
mai-kade jaane ki himmat bhi nahin kar sakte
hum kabhi aisi himaqat bhi nahin kar sakte
apni ghalati ko jo taslim nahin karte hum
aise logon ko nasihat bhi nahin kar sakte
hum jahan ja ke chale aaen salamat wapas
tum kabhi itni jasarat bhi nahin kar sakte
zindagi ne hamein us moD pe la ke chhoDa
tum se hum khul ke mohabbat bhi nahin kar sakte
us ne jate hue saunpi hai hamein wo daulat
us mein hum koi KHayanat bhi nahin kar sakte
itna uljha diya haalat ne logon ko yahan
ek duje ki hifazat bhi nahin kar sakte
waqt ne kar diya 'ahmad' hamein masruf bahut
baiTh kar sath ziyafat bhi nahin kar sakte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.