mai-kade se na haram se na sanam-KHane se
mai-kade se na haram se na sanam-ḳhāne se
aabrū hai tire ġham kī mire kāshāne se
zindagī hotī jo gutthī to sulajh bhī jaatī
ye to kuchh aur ulajh jaatī hai suljhāne se
maut kis kār-e-numāyāñ pe hai itnī nāzāñ
shaḳhsiyat martī nahīñ shaḳhs ke mar jaane se
aql vaale baḌe mahdūd-nazar hote haiñ
mas.ala dil kā hai pūchho kisī dīvāne se
raaz ta.amīr kā taḳhrīb meñ poshīda hai
shahr lete haiñ janam gaañv ujaḌ jaane se
roz uftāda hai kyā josh-e-numū ke aage
muskurātī hai sahar shab ke siyah-ḳhāne se
ġham se kuchh aur nikhar jaatā hai insāñ kā shu.ūr
jaise sonā ho kharā aag meñ tap jaane se
mai-kade se na haram se na sanam-KHane se
aabru hai tere gham ki mere kashane se
zindagi hoti jo gutthi to sulajh bhi jati
ye to kuchh aur ulajh jati hai suljhane se
maut kis kar-e-numayan pe hai itni nazan
shaKHsiyat marti nahin shaKHs ke mar jaane se
aql wale baDe mahdud-nazar hote hain
masala dil ka hai puchho kisi diwane se
raaz tamir ka taKHrib mein poshida hai
shahr lete hain janam ganw ujaD jaane se
roz uftada hai kya josh-e-numu ke aage
muskuraati hai sahar shab ke siyah-KHane se
gham se kuchh aur nikhar jata hai insan ka shuur
jaise sona ho khara aag mein tap jaane se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.