mai-kade viran raaton ke hawale ho gae
mai-kade vīrān rātoñ ke havāle ho ga.e
kaise kaise log ab allāh vaale ho ga.e
jab tumhāre bachchoñ ne bhī haath hī phailā diye
rāste ke is liye tum ḳhud nivāle ho ga.e
tum ne dekhā hī nahīñ un ghar jalāne vāloñ ko
zulmateñ itnī baḌhīñ raushan ujāle ho ga.e
terī ulfat meñ bahut bhaTkā huuñ maiñ to rāt-din
tere dil ke rāste sab dekhe-bhāle ho ga.e
jin ke chehre par hamesha jhuuT kī bārish rahī
vaqt aisā hai vahī ab baat vaale ho ga.e
tere yāroñ ne tujhe kyoñ vaqt pe dhoka diyā
kyā bas itnī baat hai vo paise vaale ho ga.e
kar rahe ho kyoñ ishāre mujh ko itnī duur se
rang ujle haiñ magar ye dil ke kaale ho ga.e
kyā ḳhabar thī ham ko bhī vo itne bhole-bhāle haiñ
pair meñ uljhe hue makḌī ke jaale ho ga.e
tū ne ye lambā safar tanhā guzārā kis liye
itnī duurī se mire pairoñ meñ chhāle ho ga.e
mai-kade viran raaton ke hawale ho gae
kaise kaise log ab allah wale ho gae
jab tumhaare bachchon ne bhi hath hi phaila diye
raste ke is liye tum KHud niwale ho gae
tum ne dekha hi nahin un ghar jalane walon ko
zulmaten itni baDhin raushan ujale ho gae
teri ulfat mein bahut bhaTka hun main to raat-din
tere dil ke raste sab dekhe-bhaale ho gae
jin ke chehre par hamesha jhuT ki barish rahi
waqt aisa hai wahi ab baat wale ho gae
tere yaron ne tujhe kyon waqt pe dhoka diya
kya bas itni baat hai wo paise wale ho gae
kar rahe ho kyon ishaare mujh ko itni dur se
rang ujle hain magar ye dil ke kale ho gae
kya KHabar thi hum ko bhi wo itne bhole-bhaale hain
pair mein uljhe hue makDi ke jale ho gae
tu ne ye lamba safar tanha guzara kis liye
itni duri se mere pairon mein chhaale ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.