mai-kadon mein to aam pite hain
mai-kadoñ meñ to aam piite haiñ
ham nigāhoñ se jaam piite haiñ
terī tasvīr sāmne rakh kar
kar ke tujh se kalām piite haiñ
ġham-e-furqat meñ bas do ghūñT piyā
aap karte haiñ naam piite haiñ
aao pī lo ke sub.h-e-sādiq hai
aao baiTho hai shaam piite haiñ
maiñ zamāne ko mai-kade sā lagūñ
aao is tarah jaam piite haiñ
qaid botal meñ haiñ ajab jalva
aaj botal tamām piite haiñ
ghir ke aa.iiñ ghaTā.eñ sāvan kī
kiije kuchh intizām piite haiñ
mai-kadon mein to aam pite hain
hum nigahon se jam pite hain
teri taswir samne rakh kar
kar ke tujh se kalam pite hain
gham-e-furqat mein bas do ghunT piya
aap karte hain nam pite hain
aao pi lo ke subh-e-sadiq hai
aao baiTho hai sham pite hain
main zamane ko mai-kade sa lagun
aao is tarah jam pite hain
qaid botal mein hain ajab jalwa
aaj botal tamam pite hain
ghir ke aain ghaTaen sawan ki
kije kuchh intizam pite hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.