mai-kashi ka to maza jab hai bahaar aai ho
mai-kashī kā to maza jab hai bahār aa.ī ho
mauj-e-bāda mire saaqī tirī añgḌā.ī ho
gāmzan jab ki udhar aap kā saudā.ī ho
kis liye phir na bayābāñ meñ bahār aa.ī ho
is tarah pahle milā thā na mujhe koī shaḳhs
jaise barsoñ se mirī us kī shanāsā.ī ho
us ke nazdīk hai kyā chiiz tamāshā-e-hilāl
jis kī nazroñ meñ nihāñ aap kī añgḌā.ī ho
guftugū aap kī merī hai abhī jā-e-tamām
ġhair-mumkin ki sar-e-hashr ye tanhā.ī ho
sang-e-dar hī na rahe yā na rahe merī jabīñ
kuchh na kuchh hāsil-e-dil zauq-e-jabīñ-sā.ī ho
us kā e.azāz koī ahl-e-nazar se pūchhe
jis ne qadmoñ meñ tire aa ke jagah paa.ī ho
ek muddat se giraftār qafas meñ ho 'ziyā'
jaane kai baar gulistāñ meñ bahār aa.ī ho
mai-kashi ka to maza jab hai bahaar aai ho
mauj-e-baada mere saqi teri angDai ho
gamzan jab ki udhar aap ka saudai ho
kis liye phir na bayaban mein bahaar aai ho
is tarah pahle mila tha na mujhe koi shaKHs
jaise barson se meri us ki shanasai ho
us ke nazdik hai kya chiz tamasha-e-hilal
jis ki nazron mein nihan aap ki angDai ho
guftugu aap ki meri hai abhi ja-e-tamam
ghair-mumkin ki sar-e-hashr ye tanhai ho
sang-e-dar hi na rahe ya na rahe meri jabin
kuchh na kuchh hasil-e-dil zauq-e-jabin-sai ho
us ka eazaz koi ahl-e-nazar se puchhe
jis ne qadmon mein tere aa ke jagah pai ho
ek muddat se giraftar qafas mein ho 'ziya'
jaane kai bar gulistan mein bahaar aai ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.