mai-kashi ki sharab ki baaten
mai-kashī kī sharāb kī bāteñ
tauba tauba janāb kī bāteñ
maiñ ne kab pī hisāb se yārab
mujh se phir kyoñ hisāb kī bāteñ
tū ġhafūr-ur-rahīm hai be-shak
phir ye kaisī azaab kī bāteñ
airoñ-ġhairoñ se ham nahīñ karte
dil-e-ḳhāna-ḳharāb kī bāteñ
kitnā khul khul ke log karte haiñ
sharmsārī hijāb kī bāteñ
dil-nashīñ dil-fareb hotī haiñ
dekho bhauñre gulāb kī bāteñ
gul-o-ġhuncha bhī jal ke karte haiñ
us ke husn-o-shabāb kī bāteñ
us kā chehra kitāb jaisā hai
paḌhiye paḌhiye kitāb kī bāteñ
raat tanhā hai ham bhī tanhā haiñ
chhoḌo bhī ye hijāb kī bāteñ
yaar makr-o-fareb lagtī haiñ
āj-kal inqalāb kī bāteñ
kyā qayāmat 'suhaib' aa pahuñchī
tere muñh se savāb kī bāteñ
mai-kashi ki sharab ki baaten
tauba tauba janab ki baaten
main ne kab pi hisab se yarab
mujh se phir kyon hisab ki baaten
tu ghafur-ur-rahim hai be-shak
phir ye kaisi azab ki baaten
airon-ghairon se hum nahin karte
dil-e-KHana-KHarab ki baaten
kitna khul khul ke log karte hain
sharmsari hijab ki baaten
dil-nashin dil-fareb hoti hain
dekho bhaunre gulab ki baaten
gul-o-ghuncha bhi jal ke karte hain
us ke husn-o-shabab ki baaten
us ka chehra kitab jaisa hai
paDhiye paDhiye kitab ki baaten
raat tanha hai hum bhi tanha hain
chhoDo bhi ye hijab ki baaten
yar makr-o-fareb lagti hain
aaj-kal inqalab ki baaten
kya qayamat 'suhaib' aa pahunchi
tere munh se sawab ki baaten
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.