mai-kasho dekho KHabar-dar jahan hai shisha
mai-kasho dekho ḳhabar-dār jahāñ hai shīsha
dil nāzuk hai mirā haa.e kahāñ hai shīsha
ashk aur aah se ab bazm meñ merī tujh bin
jaam labrez hai aur shoa.la-fishāñ hai shīsha
chashm-e-zāhir se na kar shaiḳh tū inkār-e-sharāb
hai parī-ḳhāna nihāñ garche ayaañ hai shīsha
tujh ko ma.alūm hai kyā hai ye baġhal meñ merī
naqsh jo bā.is-e-tasḳhīr bayāñ hai shīsha
dil-e-nāzuk pe mire sañg-dilī par terī
jaam ḳhūñ-bār hai aur lab pe fuġhāñ hai shīsha
mai-kasho dekho KHabar-dar jahan hai shisha
dil nazuk hai mera hae kahan hai shisha
ashk aur aah se ab bazm mein meri tujh bin
jam labrez hai aur shoala-fishan hai shisha
chashm-e-zahir se na kar shaiKH tu inkar-e-sharab
hai pari-KHana nihan garche ayan hai shisha
tujh ko malum hai kya hai ye baghal mein meri
naqsh jo bais-e-tasKHir bayan hai shisha
dil-e-nazuk pe mere sang-dili par teri
jam KHun-bar hai aur lab pe fughan hai shisha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.