mai-pash nigahon se masti si chura laya
mai-pash nigahon se masti si chura laya
Nayyar Qureshi Gangohi
MORE BYNayyar Qureshi Gangohi
mai-pāsh nigāhoñ se mastī sī churā laayā
bā-hosh rahā lekin mad.hosh nazar aaya
ādāb-e-vafādārī qaa.em to rahī apnī
har zulm-o-jafā sah kar hoñToñ pe kahāñ laayā
ḳhud.dār tabī.at thī kaise ye machal jaatī
kamzor sahāroñ ko har moḌ pe Thukrāyā
āñkhoñ se gire aañsū tauhīn-e-mohabbat hai
dil toḌ ke duniyā ne kyā ḳhuub ye samjhāyā
ham kis ko kaheñ apnā ham ġhair kise samjheñ
ġham-ḳhvār kahāñ koī duniyā meñ nazar aaya
hamrāz banāyā thā mil jaa.e sukūñ shāyad
kuchh aur baḌhī uljhan kuchh aur maiñ pachhtāyā
nākām-e-mohabbat ko har baat garāñ guzrī
itnā vo hue barham jitnā unheñ samjhāyā
āġhosh-e-bahārāñ meñ phir umr kaTe apnī
in reshmī zulfoñ kā mil jaa.e agar saayā
fankār kī nazroñ meñ fan aur nikhartā hai
fankār kahīñ 'nayyar' tanqīd se ghabrāyā
mai-pash nigahon se masti si chura laya
ba-hosh raha lekin madhosh nazar aaya
aadab-e-wafadari qaem to rahi apni
har zulm-o-jafa sah kar honTon pe kahan laya
KHuddar tabiat thi kaise ye machal jati
kamzor sahaaron ko har moD pe Thukraya
aankhon se gire aansu tauhin-e-mohabbat hai
dil toD ke duniya ne kya KHub ye samjhaya
hum kis ko kahen apna hum ghair kise samjhen
gham-KHwar kahan koi duniya mein nazar aaya
hamraaz banaya tha mil jae sukun shayad
kuchh aur baDhi uljhan kuchh aur main pachhtaya
nakaam-e-mohabbat ko har baat garan guzri
itna wo hue barham jitna unhen samjhaya
aaghosh-e-bahaaran mein phir umr kaTe apni
in reshmi zulfon ka mil jae agar saya
fankar ki nazron mein fan aur nikharta hai
fankar kahin 'nayyar' tanqid se ghabraya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.