maidan bhi ek jaisa aur ghar bhi ek jaisa
maidāñ bhī ek jaisā aur ghar bhī ek jaisā
ik sā.ebāñ falak kā sar par bhī ek jaisā
duniyā hai ḳhūbsūrat mere liye yahāñ par
saaya bhī ek jaisā paikar bhī ek jaisā
andāz nafratoñ kā badlā nahīñ abhī tak
jangeñ bhī ek jaisī lashkar bhī ek jaisā
sahrā kī ret ho yā sabza ho vādiyoñ kā
nīñdeñ bhī ek jaisī bistar bhī ek jaisā
zāhir meñ muḳhtalif haiñ lekin ba-vaqt-e-tūfāñ
paanī bhī ek jaisā patthar bhī ek jaisā
apnī jagah hai taaza sadiyoñ se merā chehrā
avval bhī ek jaisā āḳhir bhī ek jaisā
merā vajūd 'shāhid' shabnam kā ek ḳhatra
bāhar bhī ek jaisā andar bhī ek jaisā
maidan bhi ek jaisa aur ghar bhi ek jaisa
ek saeban falak ka sar par bhi ek jaisa
duniya hai KHubsurat mere liye yahan par
saya bhi ek jaisa paikar bhi ek jaisa
andaz nafraton ka badla nahin abhi tak
jangen bhi ek jaisi lashkar bhi ek jaisa
sahra ki ret ho ya sabza ho wadiyon ka
ninden bhi ek jaisi bistar bhi ek jaisa
zahir mein muKHtalif hain lekin ba-waqt-e-tufan
pani bhi ek jaisa patthar bhi ek jaisa
apni jagah hai taza sadiyon se mera chehra
awwal bhi ek jaisa aaKHir bhi ek jaisa
mera wajud 'shahid' shabnam ka ek KHatra
bahar bhi ek jaisa andar bhi ek jaisa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.