maiKHane pe chhai hai afsurda-shabi kab se
maiḳhāne pe chhā.ī hai afsurda-shabī kab se
sāġhar se gurezāñ hai ḳhud tishna-labī kab se
ai sāya-e-gesū ke dīvāno batāo to
me.ār-e-junūñ Thahrī rāhat-talabī kab se
chūsā hai lahū jis ne barsoñ mah-o-anjum kā
insāñ kā muqaddar hai vo tīra-shabī kab se
ik hashr sā barpā hai zindāñ se bayābāñ tak
pāband-e-salāsil hai īzā-talabī kab se
jis ke liye saaz apnā sar phoḌte phirte haiñ
naġhmoñ kī vo daulat hai siine meñ dabī kab se
jo dār-o-rasan ko bhī ḳhātir meñ nahīñ laatī
ta.azīr ke qābil hai vo be-adabī kab se
fursat ġham-e-daurāñ se miltī hī nahīñ 'arshad'
dil meñ liye phirte haiñ mauj-e-inabī kab se
maiKHane pe chhai hai afsurda-shabi kab se
saghar se gurezan hai KHud tishna-labi kab se
ai saya-e-gesu ke diwano batao to
mear-e-junun Thahri rahat-talabi kab se
chusa hai lahu jis ne barson mah-o-anjum ka
insan ka muqaddar hai wo tira-shabi kab se
ek hashr sa barpa hai zindan se bayaban tak
paband-e-salasil hai iza-talabi kab se
jis ke liye saz apna sar phoDte phirte hain
naghmon ki wo daulat hai sine mein dabi kab se
jo dar-o-rasan ko bhi KHatir mein nahin lati
tazir ke qabil hai wo be-adabi kab se
fursat gham-e-dauran se milti hi nahin 'arshad'
dil mein liye phirte hain mauj-e-inabi kab se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.