maili chadar sath liye
mailī chādar saath liye
apnī anā kī zaat liye
kūcha kūcha phirtā huuñ
tan kā lāsha saath liye
ek darinda jiit gayā
phirtā huuñ maiñ maat liye
DhūñDeñ aao insāñ ko
pāgal-pan ko saath liye
un kā dāman dekh chukā
āñkhoñ meñ barsāt liye
TuuT chuke vo tāj-mahal
so.e the ham raat liye
kis kā bharosa aaj 'asar'
yaar khaḌā hai ghaat liye
maili chadar sath liye
apni ana ki zat liye
kucha kucha phirta hun
tan ka lasha sath liye
ek darinda jit gaya
phirta hun main mat liye
DhunDen aao insan ko
pagal-pan ko sath liye
un ka daman dekh chuka
aankhon mein barsat liye
TuT chuke wo taj-mahal
soe the hum raat liye
kis ka bharosa aaj 'asar'
yar khaDa hai ghat liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.