main aaftab ko dekhun ki chandni se milun
maiñ āftāb ko dekhūñ ki chāñdnī se milūñ
maiñ ziist kaaT chukī ab to zindagī se milūñ
haiñ kitne misre abhī zer-e-tarbiyat mujh meñ
maiñ lafz lafz tarāshūñ to shā'irī se milūñ
maiñ apnī ziist meñ utrūñ kamāl-e-hastī tak
maiñ apne dil se milūñ dil kī be-dilī se milūñ
ho ḳhushbuoñ se mo'attar badan kā har gosha
vo jis dayār se guzrā hai us galī se milūñ
samundaroñ se karūñ dostī ki sahrā se
laboñ ko ḳhushk karūñ aur tishnagī se milūñ
nabī ke 'ishq meñ dīvāngī ke 'ālam tak
'alī se 'ishq karūñ aur kisī valī se milūñ
maiñ dushmanī kā har ik juz samajh ga.ī 'sapnā'
kitāb-e-dostī likh duuñ maiñ dushmanī se milūñ
main aaftab ko dekhun ki chandni se milun
main zist kaT chuki ab to zindagi se milun
hain kitne misre abhi zer-e-tarbiyat mujh mein
main lafz lafz tarashun to sha'iri se milun
main apni zist mein utrun kamal-e-hasti tak
main apne dil se milun dil ki be-dili se milun
ho KHushbuon se mo'attar badan ka har gosha
wo jis dayar se guzra hai us gali se milun
samundaron se karun dosti ki sahra se
labon ko KHushk karun aur tishnagi se milun
nabi ke 'ishq mein diwangi ke 'alam tak
'ali se 'ishq karun aur kisi wali se milun
main dushmani ka har ek juz samajh gai 'sapna'
kitab-e-dosti likh dun main dushmani se milun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.