main aag hun pani hun na miTTi na hawa hun
maiñ aag huuñ paanī huuñ na miTTī na havā huuñ
hālāñki inhīñ chaar 'anāsir se banā huuñ
rishtoñ kī haqīqat ke bharam Tuut rahe haiñ
ik shāḳh-e-burīda kī taraf dekh rahā huuñ
majbūr huuñ maiñ apne usūloñ kī binā par
duniyā ye samajhtī hai ki pāband-e-anā huuñ
mahfūz mujhe kar leñ zamāne kī nigāheñ
maiñ apne tashaḳhḳhus meñ akelā hī bachā huuñ
vo shaan hai merī ki malā.ik kā huuñ masjūd
kahne ko khanaktī huī miTTī se banā huuñ
ghar meñ to mirī ek nahīñ chaltī hai lekin
bāhar yahī mash.hūr hai maiñ ghar kā baḌā huuñ
maiñ 'nūr' ta'āruf ke liye kuchh nahīñ rakhtā
ab kaise batā.ūñgā tumheñ kaun huuñ kyā huuñ
main aag hun pani hun na miTTi na hawa hun
haalanki inhin chaar 'anasir se bana hun
rishton ki haqiqat ke bharam Tut rahe hain
ek shaKH-e-burida ki taraf dekh raha hun
majbur hun main apne usulon ki bina par
duniya ye samajhti hai ki paband-e-ana hun
mahfuz mujhe kar len zamane ki nigahen
main apne tashaKHKHus mein akela hi bacha hun
wo shan hai meri ki malaik ka hun masjud
kahne ko khanakti hui miTTi se bana hun
ghar mein to meri ek nahin chalti hai lekin
bahar yahi mashhur hai main ghar ka baDa hun
main 'nur' ta'aruf ke liye kuchh nahin rakhta
ab kaise bataunga tumhein kaun hun kya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.