main aansuon ko ishq mein kab tak lahu karun
maiñ āñsuoñ ko 'ishq meñ kab tak lahū karūñ
mauqa' mile to dāman-e-dil ko rafū karūñ
kyā baat hai ki aa.eñ ta'alluq meñ talḳhiyāñ
maiñ sochtā huuñ tum se kabhī guftugū karūñ
jab ho ga.ī hai ḳhidmat-e-shāḳh-o-shajar nasīb
paidā chaman meñ kuchh to na.ī rang-o-bū karūñ
sach aur jhuuT donoñ to ik hī tarah ke haiñ
maiñ kyoñ na ek roz inheñ rū-ba-rū karūñ
mehmāñ to ho vo māh-jabīñ merā koī shaam
maiñ ehtimām-e-bāda-o-jām-o-subū karūñ
tahzīb se hamārī jo baaqī rahe sadā
gangā meñ tum nahāo to maiñ bhī vuzū karūñ
parvardigār ye bhī du'ā kar mirī qubūl
puurī na ho jo aisī koī aarzū karūñ
'gauhar' mile zarā bhī agar bārishoñ kā saath
paidā mizāj-e-ḳhāk meñ zauq-e-numū karūñ
main aansuon ko 'ishq mein kab tak lahu karun
mauqa' mile to daman-e-dil ko rafu karun
kya baat hai ki aaen ta'alluq mein talKHiyan
main sochta hun tum se kabhi guftugu karun
jab ho gai hai KHidmat-e-shaKH-o-shajar nasib
paida chaman mein kuchh to nai rang-o-bu karun
sach aur jhuT donon to ek hi tarah ke hain
main kyon na ek roz inhen ru-ba-ru karun
mehman to ho wo mah-jabin mera koi sham
main ehtimam-e-baada-o-jam-o-subu karun
tahzib se hamari jo baqi rahe sada
ganga mein tum nahao to main bhi wuzu karun
parwardigar ye bhi du'a kar meri qubul
puri na ho jo aisi koi aarzu karun
'gauhar' mile zara bhi agar barishon ka sath
paida mizaj-e-KHak mein zauq-e-numu karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.