main aasman ko dekhta hun aasman mujhe
maiñ āsmāñ ko dekhtā huuñ āsmāñ mujhe
achchhā huā ki bhuul ga.e mehrbāñ mujhe
mānūs ho gayā huuñ kuchh aisā qafas se maiñ
aatā nahīñ hai yaad abhī āshiyāñ mujhe
tāqat nahīñ ki zabt karūñ rāz-e-ġham magar
ḳhāmosh kar rahī hai ye merī zabāñ mujhe
haañ phir tū jalva-bār ho ai barq-e-tūr-soz
haañ haañ abhī hai hausla-e-imtihāñ mujhe
mar kar bhī kashmakash hai vahī husn-o-ishq kī
denā paḌe na hashr meñ bhī imtihāñ mujhe
mere liye muraqqa-e-ibrat hai kā.enāt
ik dars de rahī hai bahār-e-ḳhizāñ mujhe
jab tāqatoñ ne merī mujhe de diyā javāb
phir kyā pukārtā jaras-e-kārvāñ mujhe
'sāqib' kisī se apnī tabāhī kā kyā gila
ḳhud sa.ī-e-justujū ne kiyā be-nishāñ mujhe
main aasman ko dekhta hun aasman mujhe
achchha hua ki bhul gae mehrban mujhe
manus ho gaya hun kuchh aisa qafas se main
aata nahin hai yaad abhi aashiyan mujhe
taqat nahin ki zabt karun raaz-e-gham magar
KHamosh kar rahi hai ye meri zaban mujhe
han phir tu jalwa-bar ho ai barq-e-tur-soz
han han abhi hai hausla-e-imtihan mujhe
mar kar bhi kashmakash hai wahi husn-o-ishq ki
dena paDe na hashr mein bhi imtihan mujhe
mere liye muraqqa-e-ibrat hai kaenat
ek dars de rahi hai bahaar-e-KHizan mujhe
jab taqaton ne meri mujhe de diya jawab
phir kya pukarta jaras-e-karwan mujhe
'saqib' kisi se apni tabahi ka kya gila
KHud sai-e-justuju ne kiya be-nishan mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.