main agar aaine banata hun
maiñ agar aa.ine banātā huuñ
jauhar-e-ḳhāk se banātā huuñ
tum kisī ek se chale aanā
maiñ ka.ī rāste banātā huuñ
baat kyā hai khule bas itnā hī
maiñ kahāñ mas.ale banātā huuñ
kis kī duurī kā ḳhauf hai mujh ko
ḳhvāb meñ dā.ere banātā huuñ
maiñ ki apnī isī ḳhamoshī se
baat ke silsile banātā huuñ
zaḳhm detī hai tīrgī aur maiñ
raushnī zaḳhm se banātā huuñ
maiñ jo ḳhud ko banā nahīñ paayā
ab tire vāste banātā huuñ
main agar aaine banata hun
jauhar-e-KHak se banata hun
tum kisi ek se chale aana
main kai raste banata hun
baat kya hai khule bas itna hi
main kahan masale banata hun
kis ki duri ka KHauf hai mujh ko
KHwab mein daere banata hun
main ki apni isi KHamoshi se
baat ke silsile banata hun
zaKHm deti hai tirgi aur main
raushni zaKHm se banata hun
main jo KHud ko bana nahin paya
ab tere waste banata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.