main agar kar dun raqam josh-e-junun kaghaz par
maiñ agar kar duuñ raqam josh-e-junūñ kāġhaz par
lafz ban ban ke Dhale dil kā ye ḳhuuñ kāġhaz par
kyā ḳhabar kaun se harfoñ ko milāte hoñge
kabhī likkhā hī nahīñ ham ne sukūñ kāġhaz par
tai-shuda hai kī tamām-umr badan uTh na sake
maiñ kabhī likh duuñ agar sar ko nigūñ kāġhaz par
TuuT ke phir to adū ke kahīñ kaam aate haiñ
jab bhī chaltā hai mohabbat kā fusūñ kāġhaz par
us ne jab bāġh-e-nihāñ ko nihāñ rakkhā gulzār
ham ne bhī sabz rakhā dasht-e-darūñ kāġhaz par
mujh se barham hai falak itnī sī ḳhvāhish pe mirī
toḌ kar ek sitāre ko rakhūñ kāġhaz par
ab yahī kaam hai tasvīr-numā.ī terī
aur phir pahroñ tujhe taktā rahūñ kāġhaz par
jū-e-ḳhūñ āñkhoñ talak aane lagī thī so mujhe
kaaT kar rakhnā paḌā zaḳhm-e-darūñ kāġhaz par
kuchh haqīqat ke bhī lafzoñ ko jagah do 'nāyāb'
likhte rahte ho bhalā karb hī kyuuñ kāġhaz par
main agar kar dun raqam josh-e-junun kaghaz par
lafz ban ban ke Dhale dil ka ye KHun kaghaz par
kya KHabar kaun se harfon ko milate honge
kabhi likkha hi nahin hum ne sukun kaghaz par
tai-shuda hai ki tamam-umr badan uTh na sake
main kabhi likh dun agar sar ko nigun kaghaz par
TuT ke phir to adu ke kahin kaam aate hain
jab bhi chalta hai mohabbat ka fusun kaghaz par
us ne jab bagh-e-nihan ko nihan rakkha gulzar
hum ne bhi sabz rakha dasht-e-darun kaghaz par
mujh se barham hai falak itni si KHwahish pe meri
toD kar ek sitare ko rakhun kaghaz par
ab yahi kaam hai taswir-numai teri
aur phir pahron tujhe takta rahun kaghaz par
ju-e-KHun aankhon talak aane lagi thi so mujhe
kaT kar rakhna paDa zaKHm-e-darun kaghaz par
kuchh haqiqat ke bhi lafzon ko jagah do 'nayab'
likhte rahte ho bhala karb hi kyun kaghaz par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.