main agar naqsh banaun wo miTa sakta hai
maiñ agar naqsh banā.ūñ vo miTā saktā hai
ishq āñdhī hai ghane peḌ girā saktā hai
ḳhvāb kyā hai ye dahaktā huā angāra hai
chashm-e-barfāb meñ bhī aag lagā saktā hai
sirf āñkheñ hī nahīñ saarā badan ḳhasta hai
dekh ye hijr kisī samt se aa saktā hai
mere siine pe lage zaḳhm gavāhī denā
phuul khil jaa.e to māhaul sajā saktā hai
vaqt marham hai ye hañstā hai hañsātā hai miyāñ
ye to taqdīr ke mātam ko bhulā saktā hai
kyā ḳhabar kaun hai suufī hai qalandar hai ki ġhaus
mere andar hī to hai mujh ko bulā saktā hai
kitnā tanhā.ī kā sannāTā hai chāroñ jānib
saañs lene se bhī ik shor sā aa saktā hai
ḳhud se bichhḌā to tire dar pe chalā aaya huuñ
ek tū hai jo mujhe mujh se milā saktā hai
maiñ mohabbat huuñ azal aur abad mujh meñ haiñ
mujh sivā kaun 'safī' mujh ko samā saktā hai
main agar naqsh banaun wo miTa sakta hai
ishq aandhi hai ghane peD gira sakta hai
KHwab kya hai ye dahakta hua angara hai
chashm-e-barfab mein bhi aag laga sakta hai
sirf aankhen hi nahin sara badan KHasta hai
dekh ye hijr kisi samt se aa sakta hai
mere sine pe lage zaKHm gawahi dena
phul khil jae to mahaul saja sakta hai
waqt marham hai ye hansta hai hansata hai miyan
ye to taqdir ke matam ko bhula sakta hai
kya KHabar kaun hai sufi hai qalandar hai ki ghaus
mere andar hi to hai mujh ko bula sakta hai
kitna tanhai ka sannaTa hai chaaron jaanib
sans lene se bhi ek shor sa aa sakta hai
KHud se bichhDa to tere dar pe chala aaya hun
ek tu hai jo mujhe mujh se mila sakta hai
main mohabbat hun azal aur abad mujh mein hain
mujh siwa kaun 'safi' mujh ko sama sakta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.