main apne-ap se ghafil na yun hua hota
maiñ apne-āp se ġhāfil na yuuñ huā hotā
mire bhī paas agar koī aa.ina hotā
zarā to soch kar itnā hī kar liyā hotā
mujhe kitāb samajh kar hī paḌh liyā hotā
tamām-umr faqat ek aarzū hī rahī
kiyā thā pyaar to phir TuuT kar kiyā hotā
ye aur baat ki maiñ tujh se duur huuñ lekin
maiñ tere paas bhī hotā bhalā to kyā hotā
papīhā sāvanoñ meñ yuuñ pukārtā na kabhī
agar tū chāñdnī rātoñ meñ mil gayā hotā
mirī bisāt ke baare meñ pūchhne vaale
kisī faqīr kā chehra hī paḌh liyā hotā
karūñ to kis se karūñ maiñ gilā jahālat kā
ye aarzū thī ki maiñ bhī paḌhā-likhā hotā
khañDar-zamīñ pe basā letā bastiyāñ vo bhī
agar vo vaqt se pahle na mar gayā hotā
bharī bharī kisī mahfil meñ dekh kar us ko
maiñ apne jism ke andar hī chhup gayā hotā
mire qalam se Tapaktā huā lahū 'rizvī'
kisī kī aañkh kā kājal hī ban gayā hotā
main apne-ap se ghafil na yun hua hota
mere bhi pas agar koi aaina hota
zara to soch kar itna hi kar liya hota
mujhe kitab samajh kar hi paDh liya hota
tamam-umr faqat ek aarzu hi rahi
kiya tha pyar to phir TuT kar kiya hota
ye aur baat ki main tujh se dur hun lekin
main tere pas bhi hota bhala to kya hota
papiha sawanon mein yun pukarta na kabhi
agar tu chandni raaton mein mil gaya hota
meri bisat ke bare mein puchhne wale
kisi faqir ka chehra hi paDh liya hota
karun to kis se karun main gila jahaalat ka
ye aarzu thi ki main bhi paDha-likha hota
khanDar-zamin pe basa leta bastiyan wo bhi
agar wo waqt se pahle na mar gaya hota
bhari bhari kisi mahfil mein dekh kar us ko
main apne jism ke andar hi chhup gaya hota
mere qalam se Tapakta hua lahu 'rizwi'
kisi ki aankh ka kajal hi ban gaya hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.