main apne ashk mein KHud ko bhigo raha hun abhi
main apne ashk mein KHud ko bhigo raha hun abhi
Irfan Abidi mantvi
MORE BYIrfan Abidi mantvi
maiñ apne ashk meñ ḳhud ko bhigo rahā huuñ abhī
ḳhatā ko ashk-e-nadāmat se dho rahā huuñ abhī
mujhe na chāhiye takiya kisī bhī takiye kā
maiñ maañ ke haath pe sar rakh ke so rahā huuñ abhī
mire mizāj se nafrat rahī hai sūraj ko
maiñ ham-kalām jo jugnū se ho rahā huuñ abhī
kisī bhī haal meñ saudā zamīr kā na karo
maiñ arz-e-nau meñ yahī biij bo rahā huuñ abhī
nikal paḌā huuñ maiñ ḳhud ko talāsh karne ko
maiñ apne aap meñ ḳhud ko hī kho rahā huuñ abhī
mile jo baar qazā ke to meñ uThā bhī sakūñ
tabhī hayāt ke har bojh Dho rahā huuñ abhī
maiñ bārishoñ meñ kabhī dhuup kī harārat meñ
gharauñdā ġhaur se dekhā to ro rahā huuñ abhī
main apne ashk mein KHud ko bhigo raha hun abhi
KHata ko ashk-e-nadamat se dho raha hun abhi
mujhe na chahiye takiya kisi bhi takiye ka
main man ke hath pe sar rakh ke so raha hun abhi
mere mizaj se nafrat rahi hai suraj ko
main ham-kalam jo jugnu se ho raha hun abhi
kisi bhi haal mein sauda zamir ka na karo
main arz-e-nau mein yahi bij bo raha hun abhi
nikal paDa hun main KHud ko talash karne ko
main apne aap mein KHud ko hi kho raha hun abhi
mile jo bar qaza ke to mein uTha bhi sakun
tabhi hayat ke har bojh Dho raha hun abhi
main barishon mein kabhi dhup ki hararat mein
gharaunda ghaur se dekha to ro raha hun abhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.