main apne dard ki be-waqati nahin karti
maiñ apne dard kī be-vaq.atī nahīñ kartī
ki zabt kartī huuñ nauhagarī nahīñ kartī
havā to sirf ishāra hī detī ḳhushbū kā
diye jalā ke kabhī rahbarī nahīñ kartī
ḳhabar pahuñchte hī sab dūriyāñ simaTtī haiñ
jo maut kartī hai vo zindagī nahīñ kartī
ab itnī baat pe jiinā harām kyā karnā
tumheñ pasand nahīñ shā.erī nahīñ kartī
gulāb chuntī huuñ kāñTe nikāl detī huuñ
har ek shaḳhs se maiñ dostī nahīñ kartī
ḳhud apnī raah banātī huuñ muḳhtalif 'sundus'
kabhī kisī kī bhī maiñ pairvī nahīñ kartī
main apne dard ki be-waqati nahin karti
ki zabt karti hun nauhagari nahin karti
hawa to sirf ishaara hi deti KHushbu ka
diye jala ke kabhi rahbari nahin karti
KHabar pahunchte hi sab duriyan simaTti hain
jo maut karti hai wo zindagi nahin karti
ab itni baat pe jina haram kya karna
tumhein pasand nahin shaeri nahin karti
gulab chunti hun kanTe nikal deti hun
har ek shaKHs se main dosti nahin karti
KHud apni rah banati hun muKHtalif 'sundus'
kabhi kisi ki bhi main pairwi nahin karti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.