main apne dil ki tarah aaina bana hua hun
maiñ apne dil kī tarah aa.ina banā huā huuñ
so hairatoñ ke liye mas.ala banā huā huuñ
pahuñch to saktā thā manzil pe maiñ magar ai dost
maiñ dūsroñ ke liye rāsta banā huā huuñ
maiñ jab chalā thā to apne bhī mujh ko chhoḌ ga.e
aur aaj dekh lo maiñ qāfila banā huā huuñ
sitam to ye hai ki hai merī dāstāñ aur maiñ
sharīk-e-matn nahīñ hāshiya banā huā huuñ
kabhī thā qais kabhī 'mīr' aur ab 'fartāsh'
sulūk-e-ishq kā ik silsila banā huā huuñ
main apne dil ki tarah aaina bana hua hun
so hairaton ke liye masala bana hua hun
pahunch to sakta tha manzil pe main magar ai dost
main dusron ke liye rasta bana hua hun
main jab chala tha to apne bhi mujh ko chhoD gae
aur aaj dekh lo main qafila bana hua hun
sitam to ye hai ki hai meri dastan aur main
sharik-e-matn nahin hashiya bana hua hun
kabhi tha qais kabhi 'mir' aur ab 'fartash'
suluk-e-ishq ka ek silsila bana hua hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.