main apne gham chhupana chahti hun
maiñ apne ġham chhupānā chāhtī huuñ
zarā sā muskurānā chāhtī huuñ
tumhāre haath se gir kar achānak
maiñ ik din TuuT jaanā chāhtī huuñ
tujhe maiñ sāmne se sochtī huuñ
tujhe maiñ ġhā.ebāna chāhtī huuñ
na jaao toḌ ke ahd-e-vafā ko
maiñ dilbar muḳhlisāna chāhtī huuñ
tū merī umr bhar kī hai riyāzat
tujhe maiñ ujratāna chāhtī huuñ
tū merī oḌhnī pe gerua rañg
tujhe maiñ sūfiyāna chāhtī huuñ
maiñ dariyā huuñ samundar vo 'samīna'
maiñ us meñ Duub jaanā chāhtī huuñ
main apne gham chhupana chahti hun
zara sa muskurana chahti hun
tumhaare hath se gir kar achanak
main ek din TuT jaana chahti hun
tujhe main samne se sochti hun
tujhe main ghaebana chahti hun
na jao toD ke ahd-e-wafa ko
main dilbar muKHlisana chahti hun
tu meri umr bhar ki hai riyazat
tujhe main ujratana chahti hun
tu meri oDhni pe gerua rang
tujhe main sufiyana chahti hun
main dariya hun samundar wo 'samina'
main us mein Dub jaana chahti hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.