main apne hisse ki tanhai mahfil se nikalunga
maiñ apne hisse kī tanhā.ī mahfil se nikālūñgā
jo lā-hāsil zarūrī hai to hāsil se nikālūñgā
mire ḳhuuñ se ziyāda tū mirī miTTī meñ shāmil hai
tujhe dil se nikālūñgā to kis dil se nikālūñgā
mujhe mā'lūm hai ik chor darvāza aqab meñ hai
magar is baar maiñ rasta muqābil se nikālūñgā
shabīhoñ kī tarah qabreñ mujhe āvāz detī haiñ
maiñ aks-e-raftgāñ ā.īna-e-gul se nikālūñgā
hujum-e-sahl-añgārāñ mire hamrāh chaltā hai
maiñ jaise rāh-e-āsāñ rāh-e-mushkil se nikālūñgā
bharam sab khol ke rakh dūñgā masnū'ī mohabbat ke
koī taaza fasāna dasht-o-mahmil se nikālūñgā
tumheñ ab tairnā ḳhud siikh lenā chāhiye 'shāhid'
tumheñ kab tak maiñ girdāb-e-masā.il se nikālūñgā
main apne hisse ki tanhai mahfil se nikalunga
jo la-hasil zaruri hai to hasil se nikalunga
mere KHun se ziyaada tu meri miTTi mein shamil hai
tujhe dil se nikalunga to kis dil se nikalunga
mujhe ma'lum hai ek chor darwaza aqab mein hai
magar is bar main rasta muqabil se nikalunga
shabihon ki tarah qabren mujhe aawaz deti hain
main aks-e-raftgan aaina-e-gul se nikalunga
hujum-e-sahl-angaran mere hamrah chalta hai
main jaise rah-e-asan rah-e-mushkil se nikalunga
bharam sab khol ke rakh dunga masnu'i mohabbat ke
koi taza fasana dasht-o-mahmil se nikalunga
tumhein ab tairna KHud sikh lena chahiye 'shahid'
tumhein kab tak main girdab-e-masail se nikalunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.