main apne ishq mein paiham zawal dekhta hun
maiñ apne ishq meñ paiham zavāl dekhtā huuñ
jo tere chāhne vāloñ kā haal dekhtā huuñ
maiñ is liye bhī nahīñ dekhtā huuñ ā.īna
vahāñ jo chehra hai us par jalāl dekhtā huuñ
badal ga.ī hai samā.at mirī basārat se
maiñ ḳhvāb suntā huuñ lekin ḳhayāl dekhtā huuñ
kahā hai tū ne ki terī misāl koī nahīñ
magar maiñ nuur meñ terī misāl dekhtā huuñ
maiñ chāhtā huuñ ki ḳhud ḳhaak par utar aa.uuñ
jab āsmāñ se zamīñ kā jamāl dekhtā huuñ
hazār vasvase dil meñ ubharne lagte haiñ jab
kisī ġharīb ke shāne pe shawl dekhtā huuñ
maiñ hoñT dekhtā huuñ phuul dekhne ke baad
to tere dast-e-hunar kā kamāl dekhtā huuñ
phir us ke baad koī baat kar nahīñ paatā
jab us faqīr kī āñkhoñ ko laal dekhtā huuñ
ba-sad-ḳhulūs nasīhat ko suntā rahtā huuñ
phir apne haath se maiñ apnā gaal dekhtā huuñ
jo dard sahte haiñ lekin ḳhamosh rahte haiñ
ab aise log baḌe ḳhāl-ḳhāl dekhtā huuñ
main apne ishq mein paiham zawal dekhta hun
jo tere chahne walon ka haal dekhta hun
main is liye bhi nahin dekhta hun aaina
wahan jo chehra hai us par jalal dekhta hun
badal gai hai samaat meri basarat se
main KHwab sunta hun lekin KHayal dekhta hun
kaha hai tu ne ki teri misal koi nahin
magar main nur mein teri misal dekhta hun
main chahta hun ki KHud KHak par utar aaun
jab aasman se zamin ka jamal dekhta hun
hazar waswase dil mein ubharne lagte hain jab
kisi gharib ke shane pe shawl dekhta hun
main honT dekhta hun phul dekhne ke baad
to tere dast-e-hunar ka kamal dekhta hun
phir us ke baad koi baat kar nahin pata
jab us faqir ki aankhon ko lal dekhta hun
ba-sad-KHulus nasihat ko sunta rahta hun
phir apne hath se main apna gal dekhta hun
jo dard sahte hain lekin KHamosh rahte hain
ab aise log baDe KHal-KHal dekhta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.