main apne jurm ka jab etiraf karta hun
maiñ apne jurm kā jab e'tirāf kartā huuñ
har ek faisla apne ḳhilāf kartā huuñ
maiñ pahle detā huuñ tartīb halqa-e-ahbāb
phir apne logoñ ko apne ḳhilāf kartā huuñ
maiñ kaise maan luuñ har baat āsmāñ terī
zamīn-zād huuñ so iḳhtilāf kartā huuñ
ajiib tarah kī dekhī hai raushnī ḳhud meñ
maiñ ek umr se apnā tavāf kartā huuñ
maiñ māntā huuñ ki mujh se bhī hotī rahtī haiñ
so dostoñ kī ḳhatā.eñ muaaf kartā huuñ
main apne jurm ka jab e'tiraf karta hun
har ek faisla apne KHilaf karta hun
main pahle deta hun tartib halqa-e-ahbab
phir apne logon ko apne KHilaf karta hun
main kaise man lun har baat aasman teri
zamin-zad hun so iKHtilaf karta hun
ajib tarah ki dekhi hai raushni KHud mein
main ek umr se apna tawaf karta hun
main manta hun ki mujh se bhi hoti rahti hain
so doston ki KHataen muaf karta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.