main apne KHwabon mein ek ghar pighalte dekhta hun
maiñ apne ḳhvāboñ meñ ik ghar pighalte dekhtā huuñ
jo jaag jā.ūñ to manzar pighalte dekhtā huuñ
kabhī zamīñ kabhī ambar pighalte dekhtā huuñ
ajab hai ḳhvāb samundar pighalte dekhtā huuñ
jo apnī palkoñ se motī tarāshtā thā kabhī
ab us kī āñkhoñ meñ ḳhanjar pighalte dekhtā huuñ
jo tum dikhāte ho gardūñ pe raushnī kī lakīr
maiñ us sitāre ko aksar pighalte dekhtā huuñ
faqat anā mirī dushman hai is zamāne meñ
vagarna pyaar se patthar pighalte dekhtā huuñ
vo jis ke naam se miltā thā kuchh sukūñ dil ko
ab us kī bātoñ se ye sar pighalte dekhtā huuñ
zamīn-e-dil kī shagāfoñ meñ aaj bhī 'shārib'
bas ek laavā sā andar pighalte dekhtā huuñ
main apne KHwabon mein ek ghar pighalte dekhta hun
jo jag jaun to manzar pighalte dekhta hun
kabhi zamin kabhi ambar pighalte dekhta hun
ajab hai KHwab samundar pighalte dekhta hun
jo apni palkon se moti tarashta tha kabhi
ab us ki aankhon mein KHanjar pighalte dekhta hun
jo tum dikhate ho gardun pe raushni ki lakir
main us sitare ko aksar pighalte dekhta hun
faqat ana meri dushman hai is zamane mein
wagarna pyar se patthar pighalte dekhta hun
wo jis ke nam se milta tha kuchh sukun dil ko
ab us ki baaton se ye sar pighalte dekhta hun
zamin-e-dil ki shagafon mein aaj bhi 'shaarib'
bas ek lawa sa andar pighalte dekhta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.