main apne panw baDhaun magar kahan aage
maiñ apne paañv baḌhā.ūñ magar kahāñ aage
zamīn ḳhatm huī ab hai āsmāñ aage
har ek moḌ pe maiñ pūchhtā huuñ us kā pata
har ek shaḳhs ye kahtā hai bas vahāñ aage
bichhaḌte jaate haiñ ahbāb ḳhvāb kī sūrat
guzartā jaatā hai yādoñ kā kārvāñ aage
bas agle moḌ talak hī ye saaf manzar hai
phir us ke ba.ad vahī be-karāñ dhuāñ aage
main apne panw baDhaun magar kahan aage
zamin KHatm hui ab hai aasman aage
har ek moD pe main puchhta hun us ka pata
har ek shaKHs ye kahta hai bas wahan aage
bichhaDte jate hain ahbab KHwab ki surat
guzarta jata hai yaadon ka karwan aage
bas agle moD talak hi ye saf manzar hai
phir us ke baad wahi be-karan dhuan aage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.