main apne shahr se bhaga hua akela hun
maiñ apne shahr se bhāgā huā akelā huuñ
isī liye to maiñ sab se zarā akelā huuñ
kaḌī hai dhuup shajar raah kā akelā huuñ
maiñ pāniyoñ meñ jazīra-numā akelā huuñ
qusūr-vār tabāhī kā maiñ hī Thahrūñgā
darīche band sabhī maiñ khulā akelā huuñ
mujhī pe chal ke agar jā sako to pahuñchoge
maiñ pur-ḳhatar hī sahī rāsta akelā huuñ
havā se mujh ko bachā lo ki ab zarūrī hai
añdherī raat kā raushan diyā akelā huuñ
hue haiñ hech dalīl-o-bayāñ mire aage
maiñ pattharoñ pe khudā faisla akelā huuñ
main apne shahr se bhaga hua akela hun
isi liye to main sab se zara akela hun
kaDi hai dhup shajar rah ka akela hun
main paniyon mein jazira-numa akela hun
qusur-war tabahi ka main hi Thahrunga
dariche band sabhi main khula akela hun
mujhi pe chal ke agar ja sako to pahunchoge
main pur-KHatar hi sahi rasta akela hun
hawa se mujh ko bacha lo ki ab zaruri hai
andheri raat ka raushan diya akela hun
hue hain hech dalil-o-bayan mere aage
main pattharon pe khuda faisla akela hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.