main apne zaKHm dikhlata magar ye dil nahin mana
maiñ apne zaḳhm dikhlātā magar ye dil nahīñ maanā
tujhe qātil maiñ Thahrātā magar ye dil nahīñ maanā
the sab ilzām mujh par aur maiñ apnī safā.ī meñ
tirā bhī zikr le aatā magar ye dil nahīñ maanā
vo tere lams meñ bhīgī likhāvaT merī daulat thī
maiñ tere ḳhat na lauTātā magar ye dil nahīñ maanā
lagī thī dil kī baazī chāleñ sab mere muāfiq thiiñ
maiñ us se jiit bhī jaatā magar ye dil nahīñ maanā
ġhazal ke nazm ke majmū'e ke us sar-varaq par maiñ
tirī tasvīr banvātā magar ye dil nahīñ maanā
ġhazal vo jis meñ terā zikr har misre meñ aatā hai
maiñ sab ke sāmne gaatā magar ye dil nahīñ maanā
main apne zaKHm dikhlata magar ye dil nahin mana
tujhe qatil main Thahraata magar ye dil nahin mana
the sab ilzam mujh par aur main apni safai mein
tera bhi zikr le aata magar ye dil nahin mana
wo tere lams mein bhigi likhawaT meri daulat thi
main tere KHat na lauTata magar ye dil nahin mana
lagi thi dil ki bazi chaalen sab mere muafiq thin
main us se jit bhi jata magar ye dil nahin mana
ghazal ke nazm ke majmu'e ke us sar-waraq par main
teri taswir banwata magar ye dil nahin mana
ghazal wo jis mein tera zikr har misre mein aata hai
main sab ke samne gata magar ye dil nahin mana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.