main apni aankh ko us ka jahan de dun kya
maiñ apnī aañkh ko us kā jahān de duuñ kyā
zamīn khīñch luuñ aur āsmān de duuñ kyā
maiñ duniyā zaad nahīñ huuñ mujhe nahīñ manzūr
makān le ke tumheñ lā-makān de duuñ kyā
ki ek roz khulā rah gayā thā ā.īna
agar gavāh banūñ to bayān de duuñ kyā
uḌe kuchh aise ki merā nishān tak na rahe
maiñ apnī ḳhaak ko itnī uḌaan de duuñ kyā
ye lag rahā hai ki nā-ḳhush ho dostī meñ tum
tumhāre haath meñ tiir o kamān de duuñ kyā
samajh nahīñ rahe be-rañg āñsuoñ kā kahā
unheñ maiñ surḳh-lahū kī zabān de duuñ kyā
sunā hai zindagī koī tah-e-samundar hai
bhañvar ke haath meñ ye bādbān de duuñ kyā
ye faisla mujhe karnā hai ThanDe dil se 'razā'
nahīñ badaltā zamāna to jaan de duuñ kyā
main apni aankh ko us ka jahan de dun kya
zamin khinch lun aur aasman de dun kya
main duniya zad nahin hun mujhe nahin manzur
makan le ke tumhein la-makan de dun kya
ki ek roz khula rah gaya tha aaina
agar gawah banun to bayan de dun kya
uDe kuchh aise ki mera nishan tak na rahe
main apni KHak ko itni uDan de dun kya
ye lag raha hai ki na-KHush ho dosti mein tum
tumhaare hath mein tir o kaman de dun kya
samajh nahin rahe be-rang aansuon ka kaha
unhen main surKH-lahu ki zaban de dun kya
suna hai zindagi koi tah-e-samundar hai
bhanwar ke hath mein ye baadban de dun kya
ye faisla mujhe karna hai ThanDe dil se 'raza'
nahin badalta zamana to jaan de dun kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.