main apni anaon mein giraftar bahut hun
maiñ apnī anāoñ meñ giraftār bahut huuñ
kahtā to nahīñ tālib-e-dīdār bahut huuñ
lagtā hai use us se mujhe pyaar nahīñ hai
martā huuñ usī par maiñ talabgār bahut huuñ
lagtā hai use ḳhud se mujhe pyaar bahut hai
kaise ye kahūñ ḳhud se maiñ bezār bahut huuñ
masrūf huuñ itnā ki maiñ ḳhud se nahīñ miltā
nazroñ meñ zamāne kī maiñ bekār bahut huuñ
lagtā hai zamāne ko maiñ darvesh-sifat huuñ
lekin maiñ haqīqat meñ gunahgār bahut huuñ
dikhne meñ to maiñ rustam-o-suhrāb kī sūrat
andar se ye hālat hai ki bīmār bahut huuñ
nafrat hai zamāne se maiñ rahtā huuñ akelā
ho sohbat-e-yārāñ to maiñ darkār bahut huuñ
ḳhāmosh agar huuñ to maiñ sard-āboñ kā baasī
mimbar pe maiñ aa.uuñ to dhuāñ-dhār bahut huuñ
dikhtā hai mujhe saaf jahāñ ab maiñ khaḌā huuñ
jāhil huuñ magar vāqif-e-asrār bahut huuñ
'shāhid' hai mirā naam shahīdoñ kī safoñ meñ
ai mere vatan asl meñ ġhaddār bahut huuñ
main apni anaon mein giraftar bahut hun
kahta to nahin talib-e-didar bahut hun
lagta hai use us se mujhe pyar nahin hai
marta hun usi par main talabgar bahut hun
lagta hai use KHud se mujhe pyar bahut hai
kaise ye kahun KHud se main bezar bahut hun
masruf hun itna ki main KHud se nahin milta
nazron mein zamane ki main bekar bahut hun
lagta hai zamane ko main darwesh-sifat hun
lekin main haqiqat mein gunahgar bahut hun
dikhne mein to main rustam-o-suhrab ki surat
andar se ye haalat hai ki bimar bahut hun
nafrat hai zamane se main rahta hun akela
ho sohbat-e-yaran to main darkar bahut hun
KHamosh agar hun to main sard-abon ka basi
mimbar pe main aaun to dhuan-dhaar bahut hun
dikhta hai mujhe saf jahan ab main khaDa hun
jahil hun magar waqif-e-asrar bahut hun
'shahid' hai mera nam shahidon ki safon mein
ai mere watan asl mein ghaddar bahut hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.