main apni wusaton ko us gali mein bhul jata hun
maiñ apnī vus.atoñ ko us galī meñ bhuul jaatā huuñ
na jaane kaun se jaadū ke hāthoñ meñ khilaunā huuñ
safar ye pāniyoñ kā jab mujhe be-āb kartā hai
maiñ dariyā kī rupahlī ret ko bistar banātā huuñ
savāloñ ke ka.ī patthar uThā.e log baiThe haiñ
maiñ apnā nanhā bachcha qabr meñ dafnā ke lauTā huuñ
na jaane kis fazā meñ kho gayā vo dūdhiyā āñchal
ki jis ke faiz se maiñ kitnī āñkhoñ kā ujālā huuñ
vo sūraj mere chāroñ samt hai phailā huā lekin
maiñ aksar ajnabī dhundlāhaToñ meñ Duub jaatā huuñ
lipaT jaatī hai merī uñgliyoñ se ḳhud shafaq aa kar
sahar kī samt jab maiñ apne hāthoñ ko baḌhātā huuñ
koī to hai ki jo mujh ko ujāle baḳhsh jaatā hai
ba-zāhir maiñ kisī tārīk Taapu meñ akelā huuñ
mire siine meñ 'ambar' ik dhanak sī phail jaatī hai
maiñ apne āñsuoñ kī chāñdnī meñ she'r likhtā huuñ
main apni wusaton ko us gali mein bhul jata hun
na jaane kaun se jadu ke hathon mein khilauna hun
safar ye paniyon ka jab mujhe be-ab karta hai
main dariya ki rupahli ret ko bistar banata hun
sawalon ke kai patthar uThae log baiThe hain
main apna nanha bachcha qabr mein dafna ke lauTa hun
na jaane kis faza mein kho gaya wo dudhiya aanchal
ki jis ke faiz se main kitni aankhon ka ujala hun
wo suraj mere chaaron samt hai phaila hua lekin
main aksar ajnabi dhundlahaTon mein Dub jata hun
lipaT jati hai meri ungliyon se KHud shafaq aa kar
sahar ki samt jab main apne hathon ko baDhata hun
koi to hai ki jo mujh ko ujale baKHsh jata hai
ba-zahir main kisi tarik Tapu mein akela hun
mere sine mein 'ambar' ek dhanak si phail jati hai
main apne aansuon ki chandni mein she'r likhta hun
- Book : doob (Pg. 53)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.