main apni zat na apne makan mein rahti hun
maiñ apnī zaat na apne makāñ meñ rahtī huuñ
dhueñ kā phuul huuñ ātish-fishāñ meñ rahtī huuñ
karam hai us kā jo detā hai shukr ke mauqe
karam hai us kā jo maiñ imtihāñ meñ rahtī huuñ
ye vasl bhī hai kisī aur justujū jaisā
kisī ke paas kisī ke gumāñ meñ rahtī huuñ
mirī bahār abhī lauT kar nahīñ aa.ī
maiñ ḳhushk peḌ huuñ aur gulsitāñ meñ rahtī huuñ
mire muāmle pe aise chup hue haiñ log
ye lag rahā hai ki maiñ raftagāñ meñ rahtī huuñ
mire qabīle ko aadat hai kār-o-kārī kī
maiñ is ke ḳhauf se dār-ul-amāñ meñ rahtī huuñ
'qamar' jo bigḌā huā hai mizāj dariyā kā
use patā hai maiñ kachche makāñ meñ rahtī huuñ
main apni zat na apne makan mein rahti hun
dhuen ka phul hun aatish-fishan mein rahti hun
karam hai us ka jo deta hai shukr ke mauqe
karam hai us ka jo main imtihan mein rahti hun
ye wasl bhi hai kisi aur justuju jaisa
kisi ke pas kisi ke guman mein rahti hun
meri bahaar abhi lauT kar nahin aai
main KHushk peD hun aur gulsitan mein rahti hun
mere muamle pe aise chup hue hain log
ye lag raha hai ki main raftagan mein rahti hun
mere qabile ko aadat hai kar-o-kari ki
main is ke KHauf se dar-ul-aman mein rahti hun
'qamar' jo bigDa hua hai mizaj dariya ka
use pata hai main kachche makan mein rahti hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.