main apni zat se jis ko nafi nahin karta
maiñ apnī zaat se jis ko nafī nahīñ kartā
utar ke mujh meñ vahī zindagī nahīñ kartā
hai zindagī to salāmat haiñ zā.iqe saare
yahī sabab hai ki maiñ ḳhud-kushī nahīñ kartā
maiñ nā-sipās huuñ lekin ye us kā sheva hai
vo apne fazl meñ koī kamī nahīñ kartā
kisī kī yaad bhī ab bhuul kar nahīñ aatī
dayār-e-jāñ meñ koī raushnī nahīñ kartā
sabhī ko apne garebāñ kī fikr hai shāyad
mire junūñ se koī dostī nahīñ kartā
main apni zat se jis ko nafi nahin karta
utar ke mujh mein wahi zindagi nahin karta
hai zindagi to salamat hain zaiqe sare
yahi sabab hai ki main KHud-kushi nahin karta
main na-sipas hun lekin ye us ka shewa hai
wo apne fazl mein koi kami nahin karta
kisi ki yaad bhi ab bhul kar nahin aati
dayar-e-jaan mein koi raushni nahin karta
sabhi ko apne gareban ki fikr hai shayad
mere junun se koi dosti nahin karta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.