main ashk-e-KHunin baha raha hun
maiñ ashk-e-ḳhūnīñ bahā rahā huuñ
fasāna rañgīñ banā rahā huuñ
nuqūsh-e-armāñ banā rahā huuñ
banā rahā huuñ miTā rahā huuñ
nahīñ koī rāhbar to kyā ġham
kisī taraf ko to jā rahā huuñ
junūñ kī sarhad meñ aa gayā huuñ
ḳhirad ko rasta batā rahā huuñ
balā hai ye shauq-e-rah-navardī
ki aage manzil se jā rahā huuñ
alag huā ḳhizr se ye kah kar
maiñ apnī manzil pe jā rahā huuñ
zamāna badlā hai be-navā huuñ
kabhī tirā ham-navā rahā huuñ
ye nā-tavānī meñ bhī hai dam-ḳham
ki bojh ġham ke uThā rahā huuñ
vo mashq apnī baḌhā rahe haiñ
maiñ dil nishāne pe lā rahā huuñ
nahīñ fasāne kā koī maqsad
vo sun rahe haiñ sunā rahā huuñ
nahīñ vo banñe ke apne 'beḳhud'
maiñ ḳhud ko un kā banā rahā huuñ
main ashk-e-KHunin baha raha hun
fasana rangin bana raha hun
nuqush-e-arman bana raha hun
bana raha hun miTa raha hun
nahin koi rahbar to kya gham
kisi taraf ko to ja raha hun
junun ki sarhad mein aa gaya hun
KHirad ko rasta bata raha hun
bala hai ye shauq-e-rah-nawardi
ki aage manzil se ja raha hun
alag hua KHizr se ye kah kar
main apni manzil pe ja raha hun
zamana badla hai be-nawa hun
kabhi tera ham-nawa raha hun
ye na-tawani mein bhi hai dam-KHam
ki bojh gham ke uTha raha hun
wo mashq apni baDha rahe hain
main dil nishane pe la raha hun
nahin fasane ka koi maqsad
wo sun rahe hain suna raha hun
nahin wo banne ke apne 'beKHud'
main KHud ko un ka bana raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.