main asir hun teri aankh ka ye nashat-e-habs-e-dawam hai
main asir hun teri aankh ka ye nashat-e-habs-e-dawam hai
Suhail Kakorvi
MORE BYSuhail Kakorvi
maiñ asiir huuñ tirī aañkh kā ye nashāt-e-habs-e-davām hai
yahāñ ab mashaqqat-e-'ishq hai ye mirī pasand kā kaam hai
vo hasīn jis se zabān kā nahīñ rābta hai nigāh kā
vahāñ jagmagāte ishāre haiñ vahāñ raushnī kā ḳhirām hai
maiñ sharāb piitā zarūr huuñ magar apne mere usuul haiñ
mirā ham-piyāla jo tū nahīñ mujhe ek buuñd harām hai
use raas aa ga.ī ye fazā mirā ghar to ban gayā gulsitāñ
mire dil meñ nik.hat-o-rang hai yahāñ sarḳhushī kā qiyām hai
mire she'r us ne sunā.e the ki jo ḳhud mujhe bhī na yaad the
mire naġhmoñ kā hai ye mā-hasal use yaad merā kalām hai
use paḌh ke hosh mire uḌe maiñ 'suhail' ab nahīñ vo jo thā
ye shu’ūr-e-husn ne hai likhā ye bahut balīġh payām hai
main asir hun teri aankh ka ye nashat-e-habs-e-dawam hai
yahan ab mashaqqat-e-'ishq hai ye meri pasand ka kaam hai
wo hasin jis se zaban ka nahin rabta hai nigah ka
wahan jagmagate ishaare hain wahan raushni ka KHiram hai
main sharab pita zarur hun magar apne mere usul hain
mera ham-piyala jo tu nahin mujhe ek bund haram hai
use ras aa gai ye faza mera ghar to ban gaya gulsitan
mere dil mein nikhat-o-rang hai yahan sarKHushi ka qiyam hai
mere she'r us ne sunae the ki jo KHud mujhe bhi na yaad the
mere naghmon ka hai ye ma-hasal use yaad mera kalam hai
use paDh ke hosh mere uDe main 'suhail' ab nahin wo jo tha
ye shu’ur-e-husn ne hai likha ye bahut baligh payam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.