main aur ham-aghosh hun us rashk-e-pari se
maiñ aur ham-āġhosh huuñ us rashk-e-parī se
kab is kī tavaqqo.a mujhe be-bāl-o-parī se
jāgeñge nasīb apne na āh-e-saharī se
āgāh haiñ us aah kī ham be-asarī se
hai vasl kī ḳhvāhish tujhe us rashk-e-parī se
hairāñ huuñ maiñ ai dil tirī behūda-sarī se
īmān meñ zāhid ke bhī aa jaa.e tazalzul
dekhe jo mirā but use kāfir-nazarī se
in āñkhoñ ke raste se mire dil meñ chale aa.e
is tarah ġharaz pahuñche vo ḳhushkī meñ tarī se
qāsid se na bardāsht hue un ke mazālim
baaz aayā vo āḳhir mirī paiġhām-barī se
āñchal kī havā de koī is ġhuncha-e-dil ko
vā ho nahīñ saktā ye nasīm-e-saharī se
ye shīsha-e-dil deñ to ham ai tifl-e-parī-rū
par is meñ na baal aa.e tirī be-hunarī se
hosh uḌ ga.e jaatā rahā qaabū se dil apnā
āñkheñ jo mirī chaar huiiñ ek parī se
kab haath uThā kar maiñ duā vasl kī māñgūñ
fursat hai junūñ meñ kab inheñ jāma-zarī se
baazū bhī hilā.e bahut aur paañv bhī paTke
par uḌ na sakī chaal tirī kabk-e-darī se
'ranjūr' na hogā maraz-e-ishq se jāñ-bar
ai chāragar ab haath uThā chāragarī se
main aur ham-aghosh hun us rashk-e-pari se
kab is ki tawaqqoa mujhe be-baal-o-pari se
jagenge nasib apne na aah-e-sahari se
aagah hain us aah ki hum be-asari se
hai wasl ki KHwahish tujhe us rashk-e-pari se
hairan hun main ai dil teri behuda-sari se
iman mein zahid ke bhi aa jae tazalzul
dekhe jo mera but use kafir-nazari se
in aankhon ke raste se mere dil mein chale aae
is tarah gharaz pahunche wo KHushki mein tari se
qasid se na bardasht hue un ke mazalim
baz aaya wo aaKHir meri paigham-bari se
aanchal ki hawa de koi is ghuncha-e-dil ko
wa ho nahin sakta ye nasim-e-sahari se
ye shisha-e-dil den to hum ai tifl-e-pari-ru
par is mein na baal aae teri be-hunari se
hosh uD gae jata raha qabu se dil apna
aankhen jo meri chaar huin ek pari se
kab hath uTha kar main dua wasl ki mangun
fursat hai junun mein kab inhen jama-zari se
bazu bhi hilae bahut aur panw bhi paTke
par uD na saki chaal teri kabk-e-dari se
'ranjur' na hoga maraz-e-ishq se jaan-bar
ai chaaragar ab hath uTha chaaragari se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.