main aur hun mera dil-e-diwana aur hai
maiñ aur huuñ mirā dil-e-dīvāna aur hai
afsāna aur hāsil-e-afsāna aur hai
dīvāngī pe ab mirī hañstā nahīñ koī
sab jānte haiñ fitrat-e-dīvāna aur hai
us sham.a-rū kī bazm ke ādāb dekhiye
ik jal chukā to dūsrā parvāna aur hai
dil bhar gayā hai ab mirā dasht-e-hayāt se
shāyad nigāh meñ koī vīrāna aur hai
mujh ko huā hai tajraba-e-zindagī kuchh aur
duniyā jo kah rahī hai vo afsāna aur hai
jab ham pe band ho ga.e dair-o-haram ke dar
tab raaz ye khulā dar-e-jānāna aur hai
'shādāñ' kiyā to hai use paane kā hausla
ab ehtiyāj-e-jur.at-e-rindāna aur hai
main aur hun mera dil-e-diwana aur hai
afsana aur hasil-e-afsana aur hai
diwangi pe ab meri hansta nahin koi
sab jaante hain fitrat-e-diwana aur hai
us shama-ru ki bazm ke aadab dekhiye
ek jal chuka to dusra parwana aur hai
dil bhar gaya hai ab mera dasht-e-hayat se
shayad nigah mein koi virana aur hai
mujh ko hua hai tajraba-e-zindagi kuchh aur
duniya jo kah rahi hai wo afsana aur hai
jab hum pe band ho gae dair-o-haram ke dar
tab raaz ye khula dar-e-jaanana aur hai
'shadan' kiya to hai use pane ka hausla
ab ehtiyaj-e-jurat-e-rindana aur hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.