main ba-wafa hi raha rah ke be-wafaon mein
maiñ bā-vafā hī rahā rah ke be-vafāoñ meñ
gul-e-bahār kī sūrat khilā ḳhizāoñ meñ
bharī bahār meñ dekhe jo phuul jalte hue
ruke na ashkoñ ke dariyā mirī ghaTāoñ meñ
hamāre hāthoñ se jab vaqt kī girah na khulī
to log samjhe ki ham ḳhush haiñ ibtilāoñ meñ
tire huzūr rahī qahqahoñ pe pābandī
rahā hai ḳhauf bhī raqsāñ mirī sadāoñ meñ
karo na saarī mukaddar fazā jahāñ vaalo
mire bhī hisse kī sāñseñ haiñ in havāoñ meñ
ḳhulūs kī na chalī ek bhī yahāñ 'ashraf'
gañvāyā vaqt abas ham ne iltijāoñ meñ
main ba-wafa hi raha rah ke be-wafaon mein
gul-e-bahaar ki surat khila KHizaon mein
bhari bahaar mein dekhe jo phul jalte hue
ruke na ashkon ke dariya meri ghaTaon mein
hamare hathon se jab waqt ki girah na khuli
to log samjhe ki hum KHush hain ibtilaon mein
tere huzur rahi qahqahon pe pabandi
raha hai KHauf bhi raqsan meri sadaon mein
karo na sari mukaddar faza jahan walo
mere bhi hisse ki sansen hain in hawaon mein
KHulus ki na chali ek bhi yahan 'ashraf'
ganwaya waqt abas hum ne iltijaon mein
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 64)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.