main bagh tha bahaar ne viran kiya mujhe
maiñ baaġh thā bahār ne vīrāñ kiyā mujhe
is 'ishq ne to kaafī pareshāñ kiyā mujhe
maiñ aisī nahr huuñ jahāñ aate the tishna-lab
phir apnī pyaas ne hī bayābāñ kiyā mujhe
anmol itnā huuñ ki ḳharīdā nahīñ gayā
phir ḳhud dukān-dār ne arzāñ kiyā mujhe
maiñ us meñ ḳhud ko dekhtā huuñ misl-e-ā.ina
us ne kuchh aise āñkhoñ meñ pinhāñ kiyā mujhe
karnī hai jang 'ishq ke maidān meñ use
parde ke pīchhe ḳhud hai numāyāñ kiyā mujhe
maiñ us ko jāntā huuñ ki vo hai fareb-deh
lekin tumhāre sach ne bhī hairāñ kiyā mujhe
main bagh tha bahaar ne viran kiya mujhe
is 'ishq ne to kafi pareshan kiya mujhe
main aisi nahr hun jahan aate the tishna-lab
phir apni pyas ne hi bayaban kiya mujhe
anmol itna hun ki KHarida nahin gaya
phir KHud dukan-dar ne arzan kiya mujhe
main us mein KHud ko dekhta hun misl-e-aina
us ne kuchh aise aankhon mein pinhan kiya mujhe
karni hai jang 'ishq ke maidan mein use
parde ke pichhe KHud hai numayan kiya mujhe
main us ko jaanta hun ki wo hai fareb-deh
lekin tumhaare sach ne bhi hairan kiya mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.