main banane baiThta hun kuchh to ban jata hai kuchh
maiñ banāne baiThtā huuñ kuchh to ban jaatā hai kuchh
kār-e-ḳhilqat meñ kabhī hotā bhalā aisā hai kuchh
roz-e-mahshar ai ḳhudā is baat kā rakhnā ḳhayāl
maiñ ne duniyā meñ tirī boyā thā kuchh kaaTā hai kuchh
nūr-e-āgāhī kī gahrā.ī abhī pūchho nahīñ
dām-e-māhiyat meñ ye insāñ abhī uljhā hai kuchh
aaj phir se koī āshiq ramz-e-irfāñ pā gayā
aaj phir se mahfil-e-ḳhūbāñ meñ sannāTā hai kuchh
ātish-e-ulfat meñ jalne kā maza lene to de
raakh merī mat uḌā mujh ko abhī jalnā hai kuchh
jaañ nikalne kī duā do mujh ko marne kī nahīñ
jaañ nikalnā aur kuchh hai aur mar jaanā hai kuchh
yaad karte ho bahut tanhā.ī meñ ab bhī mujhe
maan bhī jaao tumhārā aur mirā rishta hai kuchh
ḳhair ho qāsid tirī kyā ḳhuub hai aamad kā vaqt
aa pahuñchtā hai tū tab jab zaḳhm-e-dil bhartā hai kuchh
bas yahī kah deñge gar pūchhā gayā ham se savāl
dil ke armāñ ko kabhī kuchlā hai kuchh paalā hai kuchh
kyoñ bhalā 'mansūr' kī taḳhlīq meñ aa.e kamāl
us kī niyyat meñ hai kuchh kahtā hai kuchh kartā hai kuchh
main banane baiThta hun kuchh to ban jata hai kuchh
kar-e-KHilqat mein kabhi hota bhala aisa hai kuchh
roz-e-mahshar ai KHuda is baat ka rakhna KHayal
main ne duniya mein teri boya tha kuchh kaTa hai kuchh
nur-e-agahi ki gahrai abhi puchho nahin
dam-e-mahiyat mein ye insan abhi uljha hai kuchh
aaj phir se koi aashiq ramz-e-irfan pa gaya
aaj phir se mahfil-e-KHuban mein sannaTa hai kuchh
aatish-e-ulfat mein jalne ka maza lene to de
rakh meri mat uDa mujh ko abhi jalna hai kuchh
jaan nikalne ki dua do mujh ko marne ki nahin
jaan nikalna aur kuchh hai aur mar jaana hai kuchh
yaad karte ho bahut tanhai mein ab bhi mujhe
man bhi jao tumhaara aur mera rishta hai kuchh
KHair ho qasid teri kya KHub hai aamad ka waqt
aa pahunchta hai tu tab jab zaKHm-e-dil bharta hai kuchh
bas yahi kah denge gar puchha gaya hum se sawal
dil ke arman ko kabhi kuchla hai kuchh pala hai kuchh
kyon bhala 'mansur' ki taKHliq mein aae kamal
us ki niyyat mein hai kuchh kahta hai kuchh karta hai kuchh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.