main band lifafe mein paDa hun mujhe kholo
maiñ band lifāfe meñ paḌā huuñ mujhe kholo
paḌh lo mujhe phir jī jo nahīñ chāhe na bolo
ik sub.h kisī phuul ko ruḳhsār se mal kar
ik baar kisī kāñTe ko hoñToñ meñ chubho lo
ik saath na sone kā takalluf bhī bahut hai
bāham nahīñ hote ho mire paas hī so lo
phir dekhne lag jā.ūñgā maiñ ḳhvāb sunahre
ab kuchh na kaho kānoñ meñ tum shahad na gholo
ik ruuh samajh kar hī mire paas na aanā
maiñ jism bhī huuñ mujh ko añdhere meñ TaTolo
main band lifafe mein paDa hun mujhe kholo
paDh lo mujhe phir ji jo nahin chahe na bolo
ek subh kisi phul ko ruKHsar se mal kar
ek bar kisi kanTe ko honTon mein chubho lo
ek sath na sone ka takalluf bhi bahut hai
baham nahin hote ho mere pas hi so lo
phir dekhne lag jaunga main KHwab sunahre
ab kuchh na kaho kanon mein tum shahad na gholo
ek ruh samajh kar hi mere pas na aana
main jism bhi hun mujh ko andhere mein TaTolo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.