main bata bata ke bhi thak gaya main bhala nahin
maiñ batā batā ke bhī thak gayā maiñ bhalā nahīñ
vo jo ḳhauf thā tirī aañkh meñ vo gayā nahīñ
tirī qurbatoñ kā nashāt apnī jagah magar
vo jo zaḳhm hijr kī den thā vo bharā nahīñ
ka.ī hādse mire jism-o-jāñ pe guzar ga.e
mujhe jaane kis kī thī bad-du'ā maiñ marā nahīñ
ye bajā ki rizq bahut milā hameñ qaid meñ
jo yaqīn apne paroñ pe thā vo rahā nahīñ
mirā gaañv ūñchī 'imāratoñ se to bhar gayā
jo sukūn kachche gharoñ meñ thā vo milā nahīñ
tire kaam ā.eñge shām-e-‘umr meñ jān-e-man
mirī baat sun ye ḳhutūt mere jalā nahīñ
ye laraztī aañkh meñ sharm kī jo fasīl hai
yahī āḳhirī mirā aasrā ye girā nahīñ
tirā saath gar maiñ na de sakā to burā huā
maiñ burā nahīñ huuñ burā nahīñ huuñ burā nahīñ
main bata bata ke bhi thak gaya main bhala nahin
wo jo KHauf tha teri aankh mein wo gaya nahin
teri qurbaton ka nashat apni jagah magar
wo jo zaKHm hijr ki den tha wo bhara nahin
kai hadse mere jism-o-jaan pe guzar gae
mujhe jaane kis ki thi bad-du'a main mara nahin
ye baja ki rizq bahut mila hamein qaid mein
jo yaqin apne paron pe tha wo raha nahin
mera ganw unchi 'imaraton se to bhar gaya
jo sukun kachche gharon mein tha wo mila nahin
tere kaam aaenge sham-e-‘umr mein jaan-e-man
meri baat sun ye KHutut mere jala nahin
ye larazti aankh mein sharm ki jo fasil hai
yahi aaKHiri mera aasra ye gira nahin
tera sath gar main na de saka to bura hua
main bura nahin hun bura nahin hun bura nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.