main bazm-e-tasawwur mein use lae hue tha
maiñ bazm-e-tasavvur meñ use laa.e hue thā
jo saath na aane kī qasam khaa.e hue thā
dil jurm-e-mohabbat se kabhī rah na sakā baaz
hālāñki bahut baar sazā paa.e hue thā
ham chāhte the koī sune baat hamārī
ye shauq hameñ ghar se nikalvā.e hue thā
hone na diyā ḳhud pe musallat use maiñ ne
jis shaḳhs ko jī jaan se apnā.e hue thā
baiThe the 'shu.ūr' aaj mire paas vo gum-sum
maiñ kho.e hue thā na unheñ paa.e hue thā
main bazm-e-tasawwur mein use lae hue tha
jo sath na aane ki qasam khae hue tha
dil jurm-e-mohabbat se kabhi rah na saka baz
haalanki bahut bar saza pae hue tha
hum chahte the koi sune baat hamari
ye shauq hamein ghar se nikalwae hue tha
hone na diya KHud pe musallat use main ne
jis shaKHs ko ji jaan se apnae hue tha
baiThe the 'shuur' aaj mere pas wo gum-sum
main khoe hue tha na unhen pae hue tha
- Book : Ab Main Aksar Main Nahi Rehta (Pg. 119)
- Author : Anwar Shaoor
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.