main bhaTakta hi raha dasht-e-shanasai mein
maiñ bhaTaktā hī rahā dasht-e-shanāsā.ī meñ
koī utrā hī nahīñ ruuh kī gahrā.ī meñ
kyā milāyā hai batā jām-e-pazīrā.ī meñ
ḳhuub nashsha hai tirī hausla-afzā.ī meñ
terī yādoñ kī suī prem kā dhāga merā
kaam aa.e haiñ bahut zaḳhmoñ kī turpā.ī meñ
Das rahī hai ye siyah raat kī nāgin mujh ko
bhar rahī zahr ḳhamoshī rag-e-tanhā.ī meñ
surma-e-makr-o-fareb āñkhoñ meñ jab se hai lagā
tab se hai ḳhuub izāfa had-e-bīnā.ī meñ
fikr-o-fan rang-e-taġhazzul na ġhazal kī ḳhushbū
bas lagā rahtā huuñ maiñ qāfiya-paimā.ī meñ
siikh paanī se hunar kaam 'anīs' aa.egā
dauḌ kar ḳhud hī chalā aatā hai gahrā.ī meñ
main bhaTakta hi raha dasht-e-shanasai mein
koi utra hi nahin ruh ki gahrai mein
kya milaya hai bata jam-e-pazirai mein
KHub nashsha hai teri hausla-afzai mein
teri yaadon ki sui prem ka dhaga mera
kaam aae hain bahut zaKHmon ki turpai mein
Das rahi hai ye siyah raat ki nagin mujh ko
bhar rahi zahr KHamoshi rag-e-tanhai mein
surma-e-makr-o-fareb aankhon mein jab se hai laga
tab se hai KHub izafa had-e-binai mein
fikr-o-fan rang-e-taghazzul na ghazal ki KHushbu
bas laga rahta hun main qafiya-paimai mein
sikh pani se hunar kaam 'anis' aaega
dauD kar KHud hi chala aata hai gahrai mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.