main bhi hun tang kab se tum bhi ho tang kab se
maiñ bhī huuñ tang kab se tum bhī ho tang kab se
hālāt kī sipah se jaarī hai jang kab se
merī samā.atoñ se Takrā rahe the har-dam
ḳhāmosh ho ga.e haiñ vo jal-tarang kab se
dasht-e-safar meñ kitne tūfān sar se guzre
tanhā bhaTak rahī hai kaT kar patang kab se
sūraj kī raushnī hai jugnū na lams-e-tābāñ
hai tan-badan se lipTī andhī surang kab se
sab log pyaas ke haiñ jangal meñ ġharq shāyad
rah rah ke chīḳhtā hai ye ang ang kab se
ḳhushbū ke silsile kā rishta thā jis se qaa.em
le kar hujūm meñ hai vo bhī to sang kab se
chal kar 'zafar' chhuḌā deñ kuchh āb-e-tāza de deñ
har lahza khā rahā hai zehnoñ ko zang kab se
main bhi hun tang kab se tum bhi ho tang kab se
haalat ki sipah se jari hai jang kab se
meri samaaton se Takra rahe the har-dam
KHamosh ho gae hain wo jal-tarang kab se
dasht-e-safar mein kitne tufan sar se guzre
tanha bhaTak rahi hai kaT kar patang kab se
suraj ki raushni hai jugnu na lams-e-taban
hai tan-badan se lipTi andhi surang kab se
sab log pyas ke hain jangal mein gharq shayad
rah rah ke chiKHta hai ye ang ang kab se
KHushbu ke silsile ka rishta tha jis se qaem
le kar hujum mein hai wo bhi to sang kab se
chal kar 'zafar' chhuDa den kuchh aab-e-taza de den
har lahza kha raha hai zehnon ko zang kab se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.