main bhi insan tu bhi insan farq magar itna sa hai
maiñ bhī insāñ tū bhī insāñ farq magar itnā sā hai
mujh ko gahrī choT lagī hai tū ne patthar maarā hai
jo bhī paayā is duniyā se bhiik kī sūrat paayā hai
saarī umr kī mahrūmī ne jab dāman phailāyā hai
ik qatra dariyā kī daulat ik qatra palkoñ kā dhan
chāroñ taraf vajūd-e-ādam āsmān se ūñchā hai
mujh ko chhū kar jism pahan lete haiñ jis ke ḳhadd-o-ḳhāl
vo har dam mere saa.e se ruuh bachā kar chaltā hai
ġhaur karo to in donoñ meñ aisā koī farq nahīñ
ḳhushiyāñ bhī jī kar dekhī haiñ ġham bhī chhū kar dekhā hai
is bastī meñ DhūñDne niklā jab apne-pan ke saa.e
jism milā bāhar se TuuTā dil andar se bikhrā hai
aate jaate tham jaatī hai aksar qadmoñ kī aahaT
andar kī jānib hī ghar kā har darvāza khultā hai
us se koī baat na kiije bas us kī sunte rahiye
jis ne āñkheñ muuñd ke jalte sūraj ko jhuThlāyā hai
jaane kyā kyā piinā paḌtā hai barsātoñ ko 'parvāz'
tab jā kar banjar dhartī par koī parbat ugtā hai
main bhi insan tu bhi insan farq magar itna sa hai
mujh ko gahri choT lagi hai tu ne patthar mara hai
jo bhi paya is duniya se bhik ki surat paya hai
sari umr ki mahrumi ne jab daman phailaya hai
ek qatra dariya ki daulat ek qatra palkon ka dhan
chaaron taraf wajud-e-adam aasman se uncha hai
mujh ko chhu kar jism pahan lete hain jis ke KHadd-o-KHal
wo har dam mere sae se ruh bacha kar chalta hai
ghaur karo to in donon mein aisa koi farq nahin
KHushiyan bhi ji kar dekhi hain gham bhi chhu kar dekha hai
is basti mein DhunDne nikla jab apne-pan ke sae
jism mila bahar se TuTa dil andar se bikhra hai
aate jate tham jati hai aksar qadmon ki aahaT
andar ki jaanib hi ghar ka har darwaza khulta hai
us se koi baat na kije bas us ki sunte rahiye
jis ne aankhen mund ke jalte suraj ko jhuThlaya hai
jaane kya kya pina paDta hai barsaton ko 'parwaz'
tab ja kar banjar dharti par koi parbat ugta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.