main bhi KHamosh ujalon ki ziya hun jaise
maiñ bhī ḳhāmosh ujāloñ kī ziyā huuñ jaise
apnī dhartī pe ḳhudā terā patā huuñ jaise
us kī āñkhoñ meñ qayāmat kī hayā raushan hai
niim ḳhvābīda use soch rahā huuñ jaise
merā maskan na Thikāna na koī rāhguzar
maiñ koī sar-phirī āvāra havā huuñ jaise
merā dar chhoḌ ke jaatī hī nahīñ hai kam-baḳht
terī rusvā.ī ko ik maiñ hī milā huuñ jaise
zindagī tū bhī to mujh se kabhī khul kar na milī
ajnabī tere liye maiñ bhī rahā huuñ jaise
ḳhud se mil kar mujhe shiddat se lagā hai 'mansūr'
ab talak murde zamīroñ meñ rahā huuñ jaise
main bhi KHamosh ujalon ki ziya hun jaise
apni dharti pe KHuda tera pata hun jaise
us ki aankhon mein qayamat ki haya raushan hai
nim KHwabida use soch raha hun jaise
mera maskan na Thikana na koi rahguzar
main koi sar-phiri aawara hawa hun jaise
mera dar chhoD ke jati hi nahin hai kam-baKHt
teri ruswai ko ek main hi mila hun jaise
zindagi tu bhi to mujh se kabhi khul kar na mili
ajnabi tere liye main bhi raha hun jaise
KHud se mil kar mujhe shiddat se laga hai 'mansur'
ab talak murde zamiron mein raha hun jaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.